shiksha + ghar and barf + ghar ke jo sandhi vicched diye hai wo samas ki tarah lag rahe hai. aisa kyu...???

b,cos when its a+a type of sandhi and such examples of samas have the same word as the answer

  • 0

samas aur sandhi bhale ek jaise lagte hon , par donon mein atyanta sookshma antar hai.  shabda ke samas  aur sandhi  mein antar hai.

sandhi mein pehle shabda ke antim aur doosre shabda ke pratham swar ka mel hai. yahaan keval varnon ke mel par bal diya jata hai.

shiksha + ghar = shikshaghar ( yahaan aa + a = aa is roop mein mel hai)

samas mein shabdon ka mel hai. yahaan artha par bal diya jata hai.

shiksha ghar = shiksha ke liye ghar ( yahaan humein yeh pata chalta hai ki is ghar ka prayog shiksha ke liye kiya ja raha hai. yahaan sampradaan tatpurush samas hai )

Barf ghar ka sandhi aur samas aap svayam kijiye. dono udaharan ek jaise hain.

asha hai ki aap sandhi aur samas mein antar jaan gaye honge.

yahaan is paath mein shayad galti se sandhi ke jagag par samas kiya gaya hai. 

  • 0

i dont know

  • 0

kyuki samas ka arth hota hai do shabdo ke mel se bana hua shab aur aap ne jo shabd diye hai uske dono padh meaningful words hai

  • 0
What are you looking for?