Write a para on Samay ka sadupyog

in hindi

vishv ka har prani, jeev, jantu, paudha, apna jeevan samay ke gherey mein bitata hai. janm lete hi hum us path par chal detey hain jo humein anth ki ore le jaata hai. janm aur maran ke beech ka samay kitna anmol hai, hum uska anuman nahi lagaa saktay. jo samay beet jaaye, woh kabhi vaapas nahi aata. jeevan mein dhan, prasiddhi aur aaram aatey hain aur chaley jaate hain. jo vastu dobara na paa sakein, woh toh anmol hi hai. humarey dada pardada kehtey hain, "kal karey so aaj kar, aaj karey so ab, pal mein pralay hovegi, bahuri kareyga kab?" yadi vidyarthi samay par padheyngey nahi woh har pariksha mein asafal rahengey. unke gyan aur vyaktitav mein vistaar nahi hoga. woh kamaakey apney parivaar ki dekhbhaal nahi kar payengey. na to desh mein anubhavi visheyshyag aspatal, vyapaar, sena aur rajneeti mein hongey. kaisey aagey badhega bharat?
humein apney jeevan ka har pal achhey karyon mein lagana chahiye, bekaar baithney se kuch bhi praapt nahi hoga. agley din ya ghantey ki soch mein, samay barbaad nahi karna chahiye, kya pataa, kisi durghatna ke kaaran hum kuchh na kar paaye? saara samay aawaragardi aur mangharanth sapney dekhney mein bitakar kitna pachtawa hoga. aaj humari yuva peedhi jaldi se dhan ekatra karna chahti hai. vidyalayon mein ya mahavidyalon mein na jaakar, idhar udhar bhataktey hain. woh nahi jaantey ki unka yeh samay dobara nahi aayega. anya log unsey jeevan mein adhik safalta payengey aur unhe berozgari aur gareebi milegi.
hum apney desh ka aur apney parivar ka bhavishya ujwal banaa sakengey apne parishram se, unka sammaan humarey karmo par nirbhar hai. har vyakti yadi samay ka sadupyog karey, to sansaar mein khushiyaan bhar jayengi. 

  • 2
What are you looking for?