aatmatraan ka saaransh

kavi paramthama se prarthna karte hai ki kasht aur dukh ke samay unhe tassali nahi chahiye balki hune himmat chahiye paristhiti se ubarkar ane ki. yadi unki dukh me unka koi saath nahi de toh unhe koi gam nahi ve apni shakti se us paristhiti ka samna kar lenge yadi unhe haani hi haani uthani padi toh bhi koi baat nahi ve eshwar ko koi dosh nahi denge.ve prabhu se kehte hai ki ve unki raksha na kare toh nahi sahi parantu unhe saare kasht dur karne ki himmat de.ve kehte hai ki unhe keval dukh ko sehen karne ki shakti chahiye. ve bas bhaybheet na h paye. kavi kehte hai ki unke sukh ke din mein ve apna sar jhukakar ehswar ka samman kare . unhe bas eshawr pe wishwas rakhne ki shakti chahiye tab jab sara sansar unhe dukh paunchara ho. Aashay yaha hai ke prabhu unke dukh ka nash na kare keval unhe shakti de unka samna karne ki.
  • 3
What are you looking for?