bachpan par ek kavita hindi me

Ek BACHPAN ka Zamana tha,
.
jisme Khushiyo ka khazana tha..
. Chahat Chaand ko pane ki thi,
.
par DIL titli ka Diwana tha..
.
Khabar na thi kuch Subah ki,
. Na Shaam ka thikana tha..
.
... Thak-har ke aana school se,
.
Par khelne bhi jana tha..
. Maa ki kahani thi,
Pariyo ka fasana tha..
.
Barish me kagaz ki naav thi,
.
Har Mausam suhana tha.. .
Har khel me Sathi the,
Har Rishta nibhana tha..
.
Gam ki zuban na hoti thi,
. Na zakhmo ka paimana tha..
.
Rone ki wajah na thi,
Na hasne ka bahana tha..
.
Kyon Ho gaye hum itne bade, isse achha to.....
.
"Wo Bachpan ka Zamana tha".
  • 1
What are you looking for?