can you please explain the last paragraph of geet ageet

 

is stanza me ek premi aur premika hote hain.shaam k time par premi apni premika k liye aalha ga raha hota hai aur premika uske gaane ko ped (tree) ke neeche khade ho kar sunn rahi hoti hai aur yah sochti hai ki kaash vah apne premi ke geet ki boli bann jaati toh vah apne premi ke bolo k taur par hamesha uske saath rahti.

in panktiyon me kavi ne premi k gaaneko geet aur premika k mann k bhavnao ko ageet akaha hai.

  • 4

Is pankti mein ek jawan gaon ka ladka prem geet gakar apni bhavnaon ko abhiviakt karta hain aur uski premika khichi chali ati hai. Woh gana sunkar pulkit hoti hain parantu samaj ke bhay ke karan who chahkar bhi apne premi ke saath geet nahi ga pati hain aur man hi man use goon goona te he.

  • 2
What are you looking for?