"diwano ki hasti" kavita ka bhavarth kya hai? please answer it paragragh-wise by tomorrow as day after tomorrow i have my exam.

1. Is kavita mein kavi Bhagwati Charandh Verma ne aese mastmaula logon ka varnandh kiya hai jo jahan bhi jaate hain, masti ka aalam sadeev apne saath lekar chalte hain.

2. Logon ko hansaate hain aur khush karte hain. Jab ve kahin jaate hain tab sab khush hote hain par jab ve vahaan se lautne lagte hain tab log bahut dukhi ho jaate hain.

3. Jab hum dharti par aaye tab bahut saare rishte ban gaye par jab hum chale jaate hain tab saare rishte toot jaate hain.

4. Jab tak hum jeevit hain tab tak hi apna-paraya hota hai par yahi achcha hai ki hum sabke liye dua evam prarthana kare.

5. Kavi is kavita mein sukh aur dukh mein samaanta se rehne ka sandesh dena chahte hain.

  • 58
What are you looking for?