essy on mera desh bharat(can any one copy n paste here)

not essay but a poem....

Hamari sabhyata ka sab karte bakhaan
Duniya bhar mein hai iska gungaan
Ye desh jo hai hum sab ki shaan
Mera Bharat Mahaan.

Neta hamare sabse balwaan
Kabhi nahi rukte unke koi kaam
Life mein unko hai poora aaraam
Mera Bharat Mahaan.

Aam aadmi ki zindagi sasti
Rookhi sookhi si iski basti
Karna padta ise pet ke liye kaam
Mera Bharat Mahaan.

Gandhi ne diya hamen ahinsa ka paath
Humne kaat diye ek doosre ke haath
Bapu ka bas rah gaya naam
Mera Bharat Mahaan.

Padosi mulkon se lagatar ghamasan
Dharm ke naam pe marta insaan
Neta hamare ban gaye haiwan
Mera Bharat Mahaan.

Hindi Cheeni Bhai Bhai
China ne fir missile chalayi
Shanti ka de diya pramaan
Mera Bharat Kitna Mahaan.

Software mein kari tarakki
Pokhran mein dikhayi shakti
Uda diya humne Chandrayaan
Mera Bharat Mahaan.

Naye yug mein jagrati aayi
Bhartiyon mein rashtriyata samaayi
Desh ka badhne laga sammaan
Mera Bharat sach mein Mahaan...

  • 0
What are you looking for?