hey rahul.. check the remaining 3 paras..

frm - kosik..pratapu

parshuram krodhpurna gambhir vadi me bole - he vishwamitra! suno, yeh baalak kubuddhi(bad mantality) aur kutil(clever) hai; kaal ke vash me hokar yeh apne kul ka ghatak ban raha hai . Yeh Suryavanshrupi Purnachandra ka kalank hai. Yeh bilkul uddand(disobedient) , Murkh aur nidar hai. abhi yeh chadbhar me kaal ka gras(food) ho jayaega. Me pukar kar keh deta hun, phir mujhe dosh nahi hai. Yadi tum ise bachana chahte ho to hamara pratap , bal(power) , aur krodh batakar ise mana kar do . Lakshman ne kaha - He muni! apka suyash aapke rehte dusra kaun vadnan(explain) kar sakta hai? Aapne apne hi muh(mouth) se apni karni(deeds) anek baar bahut prakar se vadnan ki hai. Itne par bhi santosh(patience ) nahi hua to phir kuch keh daliye . Krodh rokkar aseh( unbearable) dukh mat sahiye . Aap virta ka vrat(fast) dharan karne wale , Dhairyawan (patient) aur chobhrahit(kabhi insult na hui ) hain .  Gaali dete shobha nahi paate . Shurvir to yudh(war) me virtapurna karya karte hai , kehkar apne baare me nahi batate . Shatru ko yudh me upasthit(present) paakar kayar (coward) hi apne pratap ki diing maara karte hai(boast)..

मित्र!
आपने कोई प्रश्न नहीं किया है कृपया पाठ से संबंधित प्रश्न पूछें तभी हम उत्तर दे पाएंगें। 

  • -3

Nxt para- Frm tum to..abhuj!

Lakshman kehte hai ki aap to maano kaal ko haank lagakar (pukarkar) baar-baar use mere liye bula rahe hai. Lakshman ke kathor vachan sunte hi Parshuram ne apne bhayanak pharse ko sudharkar haath me le liya. Ve bole- Ab log mujhe dosh na de yeh kadva bolne wala baalak maare jane ke hi yogya(deserve) hai. Ise baalak dekhkar mene bahut bachaya , par ab yeh sachmuch marne ko hi aa gaya hai.

Vishwamitra ne kaha - apradh(crime) chama kijiye . Sabhu log baalakon ke dosh aur gud(qualities)  ko nahi ginte . Parshuram bole- Tikhi dhar wale (sharp) kuthar liye me dayarahit(without being knd) aur krodhi na rahu aur mere saamne yeh Gurudrohi aur apradhi uttar de raha hai . Ine par bhi me ise bina maare chod raha hun , He vishwamitra ! keval (only) tumhare Shil / vinamra ( politeness ) ke kaaran hi . Nahi to ise is kathor kuthar se kaatkar thode hi parishram(hardwork) se Guru rinrahit( no debt left or we can say paid the gurudakshina) Ho jaata .

  Vishwamitra ne hridaya(heart) me (man hi man) hanskar kaha -" Muni ko hara hi hara(Proverb- sabkuch acha sujhna ) sujh raha hai . Kintu yeh pholaadi(powerful) hai ganne(sugarcane ) ki ikh nahi . Muni abhi bhi besamajh bane hue hai , inke prabhav(effect) ko nahi samajh rahe" . 

 It means tht ki muni parshuram Shriram-lakshman ko sadharan(ordinary) chatriya baalak samajh rahe hai. Ve unki asim(unlimited) shakti aur virta se anjaan hai, isi kaaran unhe tuch(weak) samajhne ki bhool kar rahe hai. 

  • 1

nxt & last para - Kahehu...raghukulbhanu.

Lakshman ne kaha - He muni! Aapke sheel (polite behaviour) ko kaun nahi jaanta? Vo sansaar bhar me prasiddh (famous) hai.Aap maata-pita se to acche tarah rinrahit ho gaye hai , Ab guru ka rin raha jiska jii(man) me bada soch aga hai.Vo maano hamare hi sir par nikaal rakaha tha. Bahut din biit gaye isliye byaaj(interest) bhi bahut bad gaya hoga. Ab kisi hisaab karne wale ko bula layie to me turant thaili(polythene ) kholkar de dun.Lakshman ke katu vachan sunkar Parshuram ne kuthar sambhal liya.Saari sabha (courtiers) 'hai-hai' karke pukaar uthi.

Lakshman ne kaha - He bhrigubar ! aap mujhe pharsa dikha rahe hain, parantu he raajaon ke shatru! me brahman samajhkar aapko bacha raha hun . Aapko randhir , balwaan aur vir nahi mile.He brahman devta! aap ghr hi me bade hai . Yeh sunkar log"anuchit hai ' kehkar pukaar uthe. Tab Raghunath(Shriram) ne ishaare se Lakshaman ko rok diya.Lakshman ke aahuti(fire ko agitate karna)  ke samaan uttar se parshuram ke krodhrupi agni(fire) ko badte dekhkar raghukul ke surya(sun) Shriram jal(water) ke samaan (shaant karne wale) vachan bole...

  • 1

Rahul.. I'hv given u meaning of all paras!! If u still hv any doubt in the meaning of any word u cn ask..

  • 1

Aur one more thng soch samajhkar kuch bhi bola karo..Kisi ko bura bhi lag sakta hai!!

  • 1
mahishkul ke bhartiy yudh kab aur kaha likha,dhikhai deta hai?
  • 1
only rahul can check
  • 3
ethet
  • 1
What are you looking for?