jhen ki den path se hme kya sandesh milta hai

Jhen ki den se sarvapratham hame japan ki ek adbhud parampara ke baare mein pata chalta hai tatha wahan ke takniki vikas aur samasyaon ke baare mein bhi pata lagta hai. Saath hi is paath ne hame ehsas karaya hai ki ham manushya gan apna jeevan jee nahi rahe hain parantu keval vyateet kar rahe hain kyun ki ham hamesha ya to beeti hui samasyaon par ro te hain ya phir aane wale kal ki chinta mein rah te hain. Arthat ham hamesha ya to bhoot kaal mein jeete hain ya bhavishyat kaal mein jabki dono hi kaal mithya hain kyun ki rone se beeta hua kal parivartit nahi hoga aur chinta karne se bhavishya pe bhi fark nahi padega kyun ki use kisi ne nahi dekha. Tatha is paath ne hame yah sandesh bhi diya hai ki hame hamesha vartaman mein jeena chahiye aur iska sukh anoobhav karna chahiye.
  • 21
अः
  • -11
jhen ki den spasth kre
  • 0
What are you looking for?