meanings of kabir ki sakhiya in short meanings

मित्र हमने प्रसंग सहित व्याख्या उपलब्ध करवाई हुई है, वे सरल भाषा में और विस्तारपूर्वक समझायी गई है। आपसे निवेदन है उसका ध्यानपूर्वक अध्ययन करें। 

  • -16

1. parmatma rupi bhakti ke sarover main hans krida kar raha hai hans rupi bhakt mukt bhav se muktaphal athith parmatma ki bhakti ka anand le raha hai ab bhakt ka man anyatra nahi jana cahta hai iss dohe main sacchi bhakti ke visaya main bataya gaya hai

2. kabir kehte hain ki bhaki kisi sacchy prabhu premi ko khojne se milta hai parntu bahut pryatna karne par bhi vah kabir ko na mil saka jab kabir sacha premi mila toh kabir ke sab paap punya main badal jata hai aur buri bhavnayain nast ho jati hai man main pavitrata rupi amrit main badal jata hai

3.kabir sadhko se kehte hain hey sadhko! tum mere gyan ropi hathi par sahaj samadhi rupi asan bichakar nischintata se chalte raho yeh sansar kutte ke samman hai jo hathi ko chalte dekh vyarth se bhonkta rehta hai usse tumhara kuch nahi bigdne wala

4. jo vyakti paksh vipaksh karta hai voh shara duniya bhul jata hai aur iswar ko bhajan nahi karta hai lekin jo vyakti nispaksh rehta hai voh bhajan karta hai aur sajjan vyakti kehlata hai

5. kabir ji kehtein hain hindu jan raam ka naam le-lekar mar gaye musalman khuda kehte mar gaye par dono iswar ko na pa sake bhagwan ko pane ke liye ve ekdoesre ke nikat bhi nahi aaye kabir kehte hain ki vastav mein vahi insan jivit hain jo hindu muslim raam khuda se door rehta hai

6.kabir kehte hain ki musalman ka pavitra sthan kaba kasi ke saman pavitra ho gaya hai aur ram ka naam rahim ke saman pavitra ho gaya ho jisse vyakti mota atta chunkar khata hai asay yeh hai ki dharmik bhedbhav ke nast hone par mere man main hindu muslim aur ram rahim par basi durbhavnaye nast fo gayi

7. agar koi vyakti unche kul main janam leta hai aur uske karm unche na ho to koi labh hai nahi jaise agar koi swarn ke ghade main koi sarab ya madira rakh de toh sadhu uski burai karte hain iska matlab yeh hai ki manushya karm se mahan banta hai , janam se nahi

  • 20
What are you looking for?