please explain last 2 paras of ram lakshman parshuram sanwad...

can u plzz gve the solutions of todays hindi paper set 1 section A & B

  • -1

ya i also want it as i had gone to Pindari Glacier on a school trip when we were taught these para's.

  • 0

5 th paragraph:-

Lakshman ji Parshuram ko chidhate hue bolte hain ki-

aap toh kaal(death) ko avaaz lagakar mere liye bula rahe hain jaise ki voh aapka sevak(servant) ho.

Lakshman ke in kathor vachanon ( foul words) ko sunkar Parshuram apne parse ko utha lete hain aur kehte hain -

log mujhe dosh na dein kyunki aise shabd bolne vala yeh balak vadh (assasinate in this context) karne layak ho gaya hai.Ise balak samjhkar maine chor diya tha parantu ab yeh marne ke liye taiyaar hai.

Yeh sunkar kaushik ji (vishwamitra) bolte hain ki-

is balak se bhul ho gayi ise kshama kar dijiye aur ve lakshman se kehte hain kis sajjan balak sadhuon ke dun dosh nahi dekha karte.

Unke vachanon ko sunkar parshuram ji ka krodh (gussa) thoda shant hota hai aur veh lakshman se kehte hain ki-

teekhi dhar ka kuthar dharan karne vale nirmam (heartless) aur krodhi vyakti ke samne guru droh karne par bhi main tumhe kshama kar raha hun keval tumhare guru ke sheel vachanon ke karan nahi toh main apni kathor kuthar se tumhe katkar thode se shram(hard work) se hi guru ke karz se mukt ho jaunga.

Vishwamitra man hi man mein haskar sochte hain-

muni(saint in this context, parshuram) vijayi hone ke swapn(dreams) dekh rahe hain kintu yeh(lakshman) lohe se bani khand hai na ki eenkh jo muh mein dalkarchaba li jaye (Lakshman is strong like iron, he is not like sugar which will melt as sson as it is placed in the mouth).

 

 

Hope this helps...and if it does...thumbs up please :)

  • 8

awsum yar... thanxxx meenakshi ur answer helpd me a lot :):):)

  • 0

 oh...welcum...

  • 0
pls explain 4 para
  • 0
GDMGHM
  • 0
What are you looking for?