i need the CORRECT ANSWER for harihar kaka's question: samaj mein rishton ki kya ahmiyat hai???? isss vishay par apne vichar prakat kijiye...
this is how my tchr gave me .. samaaj mein rishton ki badi ehmiyat hoti hai. rishton k dvara hi humari pehchaan hoti hai . parintu aaj ki bhautikvaadi duniya mein sabhi rishte swaarth ki dor se bandhte jaa rahe hain . prem ,bhaichaaara , saare gum (qualities) ab swaarth ke taage se bandhe jaa rahe hain . sabhi rishton mein swaarth aa gaya hai . khoon k rishte khoon peenee ko tiyar hain . badalte jeevan mulyon aur sankuchit drishtikaun ne humare man se sabhi komal bhaavnaon ko samaapt kar diya hai . maan samman aur aadar satkaar ka maatdanand ab sirf paisa reh gaya hai...