Nav Kiran ka Raath saja hai Kali kusum se path saja hai Badalon se aanucharon ne,swarn ki poosak dhari Aa rahi Ravi ki sawari

Vihag bandi aur charan Ga rahe kirti gayan Chood kar maidan bhagi, Tarkoon ki fauj saari Aa rahi Ravi ki sawari

Chahata uchloon vijay kah Par thithakta dekh kar yeh Raat ka raja khada hai, rah par ban kar bhikhari Aa rahi Ravi ki sawari

dd666666
  • 0
What are you looking for?