yamak alankar aur slesh alankar par anter spasht
yamak alankar : Jab ek hi shabd kavita mein do ya do se adhik baar prayukt hota hai par uske arth alag-alag hote hain, tab use yamak alankar kehte hain.
ex : kaali ghataa ka ghamand ghataa
yahan par ghataa ke do arth hain - badal aur kam hona.
shlesh alankar : jab kavita mein ek shabd ek hi baar aye par uske arth ek se adhik ho, use shlesh alankar kehte hain.
ex : Ghansham ham to barso kit jaye.
yahan ghansham ka arth krishna aur badal hai.